Thursday, June 01, 2006

kyon apna ho kar bhi begana sa lagta hai ab mera yeh desh?

kyon nahi bhaati ab mujhe woh pehli barsaat ki khusboo
kyon nahi bharta hai gaurav mujhmein ab woh rashtra-geet ka sandesh
kyon ab lagta hai ab mit jayega mera astitva ya jo kuchch hai ab shesh
kyon apna ho kar bhi begana sa lagta hai ab mera yeh desh?

manzilein kabhi thi raston ke dooje chhor pe,
manzilein ab bhi wahin hain, badla hai bas rasto ke bhesh
beech mein ab hai ik khaai, dono taraf ab eershya aur klesh
kyon apna ho kar bhi begana sa lagta hai ab mera yeh desh?

No comments: